YE KISKI AAMAD PE AAJ KHUSHIYAAN MANAA RAHEY HAIN ZAMAANE WAALEY
YEHI TO HAIN DEEN-E-HAQ KA BIGRHA HUWA MUQADDAR BANAANE WAALEY
SUNO SUNO GHAUR SE SUNO TO, SADA YE KAABE SE AA RAHI HAI
IMAM-E-MAHDI HAIN AANE WALE, IMAM MEHDI HAIN AANE WAALEY
HAR IK SITAM KA JAWAAB HOGA, FIDAQ KA SAARA HISAB HOGA
KE SAAHIB-E-ZULFIQAR AB HAI NAQAAB-E-GHAYBAT UTHANE WAALEY
DIYE JALAAO SAJAAO RAASTE, KHUSHI KE GUN GUN GUNAAO LOGON
KE AA RAHEY HAIN JAHAAN MEIN KAABE KO PHIR SE KAABA BANAANE WAALEY
NA KOI RANJ INKE PAAS AAYE, HAR EK KHUSHI INKO RAAS AAYE
MERI DUA HAI RAHEY SALAAMAT YE JASHN-E-QAIM MANAANE WAALEY
HUSAIN IBNE ALI NE RANN MEIN, JAWAAB AISA DIYA HAI UNKO
UTHA NA PAAYE SARON KO AB TAK SAWAALE BAYYAT UTHAANE WAALEY
FALAK SE BARSAAT-E-SARD HOGI, ZAMEEN BHI UNPE TANG HOGI
KE CHHUP NA PAAYENGE AB KAHIN BHI BATUL KA DIL DUKHANE WAALEY
RASUL BHI MUNTAZIR TERE BATUL BHI TERI MUNTAZIR HAI
MAIN MARTABA TERA KYA BATAAUN, WILA KE MEHFIL MEIN AANE WAALEY
CHALE YE KEHTE HUWE FARISHTE BAANI-E-MEHFIL KE GHAR KE JAANIB
RAHEY SALAAMAT HAMESHA YA RAB HUMEIN ZAMEEN PAR BULAANE WAALEY
khuda e paak se ghaibat bhi aap ne paai,
nabuwato(n) ki si azmat bhi aap ne paai,
imamato(n) ki fazilat bhi aap ne paai,
khuda bhi aap ka aur aap ki khudai bhi ,
mile hain aap ko ausafe ambiyai bhi,
khuda ke naam ki azmat hai aap ki ghaibat,
baqa e haq ki zamanat hai aap ki ghaibat,
usoole dee(n) ki zaroorat hai aap ki ghaibat,
isi se silsila e subah sham qayam hai,
hamein bhi naaz hai apna imam qayam hai,
kabhi jo haal e shahe dee(n) koyee sonata hai,
her ek fard yahaan ashk e ghum bahata hai,
tumhi batao tumhe kaise sabr aata hai,
liye hue shahe mazloom ka alam aao,
tumhe hussain ke abbas ki qasam aao,
yeh arzoo hai ghame karbala manaege,
tumhare jad ki safey matami bichayege,
tumhare saath alam sheh ke hum uthaen ge
shumaar hum ko bhi ker lo jo sogwaroon mein
hamara naam bhi aajae jaa(n) nisaroon mein
bshakle nazam areeza qubool ker li je
Hussain waloon ka tohfa qubool ker lije
zabih e khaas ka pursa qubool ker lije
yeh ilteja dil e shohrat ki briyab to ho
mere khutoot ka lilah kuch jawab to do..
Imam-e-Asr k hawaley se chand misrey pesh hain :-
Khuda ka fazl, bashar par tamam baaqi hai
Naam Islaam ka, parcham, Imaam baaqi hai
Wo royenge jo muharram me khoob hastey hain
k shah ke (a) khoo(n) ka abhi Inteqaam baaqi hai (Haider A. Rizvi)
Abhi to Zaalimo ka qatl-e-aam baaqi hai
Jaha Ali huwey paida, makaan baaqi hai
Imam-e-Asr karengey zuhoor kaabey me
Bidat k khaatmey ka ab bhi kaam baaqi hai (Haider A. Rizvi)
Har ek nabi ka, Mohammad ka naam baaqi
shariyato ka zara ehteraam baaqi hai
chhupaya lakh garaqadr itrato ko magar
Abhi bhi bolta aakhir Quraan baaqi hai (Haider A. Rizvi)
Namaz, Roza bhi baaqi Azaan baaqi hai
tufail-e-Panjetan, saara jahaan baaqi hai
Zuhoor hoga kab unka, jo merey haadi hai
is intezaar me hi subh-o-shaam baaqi hai (Haider A. Rizvi)
Bhaagney waley Bhagoro ka naam baaqi hai
Ali hi sab ke hain maula kalaam baaqi hai
Ham intezaar me uskey hain Jissey duniya me
Khuda ka adl bharaa intezaam baaqi hai (Haider A. Rizvi)
“Har raat Ibn-e Haidar-o-Zehra (A.S) ki yaad ho,
Har din Zahoor-e-Wali-o-Aqa (A.S) ki aas ho;
Ik aur eid aa gai, Mola (A.S) nahin aaye,
Bus yeh khayal-e-dard-o-a’lam saath saath ho.”
“Mein ye nahin kehta ke mujhay piyar nahin hai,
Faryaad tumhari koi baikar nahin hai;
Sunta hun, tarhapta hun, par majboor hun mein bhi,
Aaney se agarchay mujhay inkaar nahin hai;
Mein aaj hi aajaun, mujhay aar nahin hai,
Lekin mera lashker abhi tayyar nahin hai.”
"Ye 14 hain tau ILAHI, nizaam zinda hai,
In hi kay naam say Khaaliq ka naam zinda hai;
Manna kay jashn batatay hain hum zamanay ko:
Hum hi wo loag hain jin ka Imam (A.S) zinda hai."
"Sehar qareeb, andheron ko door hona hai,
Zaleel dushman-e-Deen ko zaroor hona hai;
Bata rahi hain ye tabdeeliyan zamanay ki,
Kisi Wali (A.S) ka yaqeenan zahoor hona hai."
"Ay baagh-e-Askari (A.S) kay muqaddas tareen phool,
Ay ka'abaa-e-farogh-e-nazar, qiblaa-e-usool,
Aa, hum say kar khiraaj-e-dil-o-jaan kabhi wusool,
Teray baghair hum ko tau jannat nahin qabool;
Duniya, na maal-o-zarr, na wazaarat kay waastay,
Hum ji rahay hain teri ziaarat kay waastay."
"Muntazir hum hi nahin hain, muntazir hain Fatima (S.A),
Ab bhi Bait-ul-Huzn mein ro rahi hain Syeda (S.A);
Roknay Bibi (S.A) kay aansoo, aa bhi jaao jald, Imam (A.S),
Qatil-e-Mohsin (A.S) ko apnay haath say denay saza."
"Momin ki har sada ko tera intizar hai,
Eeman ki baqa ko tera intizar hai;
Phir rooh-e-inqilab ki haajat hai deen ko,
Aa ja kay La Illah ko tera intizar hai;
Sab ki yeh aarzu hai kay raah-e-Khuda milay,
Lekin Khuda ki raah ko tera intizar hai;
Parda hata kay dekh, meray daur kay Hussain (a.s),
Bay-chain Zulfiqar hai, bay-taab Murtaza (a.s),
Abbas-e-ba-wafa (a.s) ko tera intizar hai."
"Ali (a.s) kay Laal (a.j.f) say Haq ka nishaan baqi hai,
Imam (a.j.f) hain tau yeh sara jahan baqi hai;
Na apnay zor pay itna uchhal aye munkir,
Ali (a.s) kay ghar ka abhi ek Imam (a.j.f) baqi hai."
"Mujh say mera Imam (a.j.f) buhat door, door hai,
A'amaal hain buray meray, mera qusoor hai;
Taqwa nahin hai hum mein, haqeeqat hai doston,
Kesay milay wo hum say? Wo Allah ka noor hai!"
"Gar ho meri hayat meray ikhtiyar mein,
Sadiyan guzaar doon ga teray intizaar mein;
Maula (ajf) ab ap parda-e-ghebat uthayye,
Do (2) din tau zindagi kay guzaroon bahar mein."
"Sadiyan bhari hain yun tau meri aankh mein, magar,
Chubhta hai aik lamha bhi ab intizar ka;
Har baar chaand dekh kay maangi hai yeh dua,
Yeh maah akhri ho teray intizar ka."
RAMAZAN UL MUBARAK :
Mubarak har ik momin ko Mah e RAMZAN aa gaya
Bakshish kay dar khulay dozakh hue thandi
ALLAH ki inayatoon ka saibaan aa gaya
Bana lo jannat main ghar aamal sanwar loo
Ramzan aik mah ka mehman aa gaya
Iblees qaid ho gaya ALLAH kay hukm say
ALLAH ki seedhi rah ki pehchaan aa gaya
Saftain sabr o taqwa ka hay dars ye ramzan
Gunahoon ko kernay loogoon kay bejaan aa gaya To Subit Your Shairi Cliick Here
Top 10 Highest Rated Islamic Sms:
|
Newest Islamic Sms & Shairi
|
tags : shia sms, ramzan sms,ramadhan shai sms, ramzan shia sms, |
imam-e-zamana ashar, shayari imam-e-zamana, qaseeda imam e zamana