Site menu |
|
|
Our poll |
|
|
Statistics |
Total online: 1 Guests: 1 Users: 0 |
|
|
(1)
Ya Shab-e-Hijrat Ali(a.S) ki neend deikhee waqt nay
Ya Shab-e-Ashhor deikha jaagna Abbas(A.S) ka
Doobta Sooraj Ubhertay Chaand per likh ker gaya
Hashar tak Hota rahey ga Tazkirah Abbas (A.S) ka
Pooree hojaey gee haath uthnay say pehlay hee muraad
Maang lo day ker khuda ko waasta Abbas(A.S) ka
Maein apney Naunehaalun ko bana deityee hein shear
un ko loree mein suna ker waqia Abbas(A.S) ka
(2)
Woh Jis Pe Naz Hai Namoon Ko Nam Ghazi Hai
Khuda Ka Hussn Hai Jitna Tamam Ghazi Hai...
Ali AS Ta Mehdi E Doran Imam e Haq Hain Taqi
Wafaa Ka Awwal o Aakhir Imam Ghazi Hai...
(3)
BADAL JO UTHHE - HAZRATEY - IMRAN KE GHAR SE
PYASE THEY MAGAR - PHIR BHI BADI SHAN SE BARSE
KHOONE -ABUTALIB - KA YE HAI EK -'' KARISHMA
DO -LAKH -KO - '' ABBAS '' - NE -ROKA HAI - NAZAR -SE
(4)
pyasa dariya se jo - ''abbase'' dilawar nikla
jhoom kar boli vafa- mera '' payamber'' nikla
dafn ho jayegi - dariya ki tarayee me ''vafa''
socha ''abbas'' ne gar- ''honth'' mera tar nikla
(5)
AAI MUSIBAT ME GIRFTAAR- PARESHHAN NA HO
KHAR HO JAYENGE SAB - KHAR PARESHAAN NA HO
HONGE SAB RAASTE HUMVAAR - PARESHAAN NA HO
'' BEHREY IMDAAD TERE -- PAAS CHALE AAYENGE
'' VAASTA SUNKEY SAKINA KA TO -- ''ABBAS '' CHALE AAYENGE
(6)
وفا جس کا پڑھےکلمہ اسے عباسءکہتے ھیں
جسے سجدےکریں
سجدہ اسے عباسء کہتےھیں
جوھےشبیرءکی قوت علیءکوھے نازجس پر
جسے زھراء کہیںبیٹااسے عباسء کہتے ھیں
اٹھےطوفاں
چلےآندھی زمیںگردش کرےپھربھی
رھےاونچاعلم جس کااسےعباسء کہتےھیں
جوپتھرپرعلم گاڑےاسےکہتےھیں سب حیدرکرارء
علم گاڑےجوپانی پراسےعباسء کہتےھیں..
.. سلام یاعباس(ع)
(7)
jo mashk- mein - bhar- sakta -hai -'' duniya -ka - samander
konain- me bas - ik - tera -saqqa - hai -'' sakina ''
'' abbas'' - ki - nazraun -se - koi- padhke- to dekhe
aihsaas - ki - ek - '' nehje-balagha-'' -hai -'' sakina''
(8)
Abbas(a.s) k khutbon se kalejo ki tarak sun
sun aatish-e-jolaan-e-balaghat ki bharak sun
mumkin ho to phir qalb-e-fasahat ki dharak sun
Aa dasht main karrar k lehjay ki karak sun
Kya takhtay wilayat pe Ali(A.s) bol raha hai
Ya mimber-e-sidra pe jali bol raha hai
(9)
Kehta tha har yazidi(L) apni khair nahi hai..
ASAD-ul-Allah(A.S) k Pisar sa koi Shair nahi hai..
ABBAS(A.S) zair hoga maida'n mai kis tarhan??
ABBAS(A.S) ke to naam mein b zair nahi hai....
(10)
عبــــــاس۴ تیــــرا نام بھی کــیا نادِعلئ ہے
جب نام لـــــیا تیـــــــرا بلاّ میــــــری ٹلی ہے
عبــــــاس۴ کٹے ہاتـھوں سے دیتے ہیں اتنا
حیرت سے سخاوت یہ کھڑی دیکھ رہی ہے
(11)
Bheja Nahi Tha Sher ko Jung ke Khayal se,
Lag Jati Warna Aag Neher Mein Jalaal se,
Kat Kat ke Girey Zulm ke Parcham Zamin per,
Tera Alam Jawan Hay 14Soo Saal se !!
(12)
Lab Pe Jo Kabhi Aajata HaiNaam-e-Abbas(a.s),
Dair Tak Hontoon Se Khushbu-e-Wafa Aati Hai.....
(13)
یا شبِ ھجرت عـــــــــلــــی ۴ کی نیند دیکھی وقت نے
یا شبِ عاشور دیکھا جاگنا عــــــــباس ۴ کا
ڈوبتا سورج ابھرتے چاند پر لکھ کر گیا
حشر تک ھوتا رھے گا تزکرہ عــــــــباس ۴ کا
پوری ھو جائے گی ھاتھ اٹھنے سے پہلے مراد
مانگ لو دے کر خدا کو واسطہ عــــــــباس ۴ کا
مائیں اپنے نونہالوں کو بنا دیتی ھیں شیر
انکو لوری میں سنا کر واقعہ عــــــــباس ۴ کا
(14)
'' kya -hai -namumkin- bataoon --' aur kya mumkin huai
'' 'panjatan'' -ke -wastey- se -- haq - dua - mumkin huai
'' loriyaan -dekar- kaha -shabbir-ne- humsheer -se
'' aa - gaye- ''abbas'' - tafseere - ''vafa''- mumkin -huai
(15)
Iss tarhan se jeeenay ka hunar dete hain Abbas(A.S)..
ragh ragh main wafadaarian bhar dete hain Abbas(A.S)..
Yeh aise sakhi aise sakhi aise sakhi hian....
kuch maange bina jhoolian bhar dete hian Abbas(A.S)..
(16)
Na Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki
Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki
Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai
To Yaad DilaDunga Jung Haider-e-Karrar Ki
(17)
larhta hua pohncha lab-e-dariya jo woh jarrar
Thah Daush Mubarak pey Alam Haath mein Talwaar
Kohnee sey tapakta thah Lahoo Khaak pey her baar
Cheirha jo zara Urh key gaya nehar pey Rahwaar
Dil Khul Gaya aaee jo hawa sard taree ki
tar hogaee cheehntaun sey Zirah Jism Jari ki
Go Piyaas sey Tarpa Dil-e- Abbas Khush Atwaar
Bhooli Na Magar Tashnagi-e- Sayyed-e- Abrar
Us waqt mein rahwaar bhee hotey theh Wafadaar
Pani sey Utha-e- raha moon Apna woh Rahwaar
Samjha key Khijal hoonga Bauhat Piyaas Bujha key
Himmat usey kehtey hein Yeh Mainey hein wafa key
(18)
Chun li khayal nay jo azal mein ALI(A.S) ki ain(ع)..
Bay(ب) Bizat-e-Rasool(S.A) ki ismat ka zaib o zain..
Al-hamd kay alif(ا) ka sarapa dilon ka chain..
Wannas ki ye Seen(س) ye Nutq-e-Dil-e-Hussain(A.S)..
Har harf kainat ka akkas ban gaya..
Dekha jo ghor kar k tou Abbas(A.S) ban gaya....!!!
-Mohsin Naqvi-
(19)
MANGNY WALO'n KO YE DIL SE YAKEE'n HY ABBAS(A.S)..
NAHE KEHNA TERA DASTOOR NAHE HY ABBAS(A.S)..
AAY GE US DARR-O-DEeWAR SE KUSHBOO-e-WAFA..
JAHA'n PE ZIKR'e ALI(A.S) HO GA WAHEE'n HAI ABBAS(A.S)..
JANG KRNY K LEY NAIZO-o-SHAMSHEER TU KYA..
APNY HATHO'n KA B MOHTAJ NAHI HAI ABBAS(A.S)..
(20)
'abbas'' -us -jalal -ke tewar -ka naam -hai
jo ''dhoop'' -ke badan- se - bhi - ''saya'' -nikal le
ab tak -kisi -yazeed -ki - himmat - nahi - huee
parcham'' -se badhke- mashke'' - sakina '' -nikal -le
(21)
Ilahee - al - madad- hai -rasta -dushwaar pani - mein
'kadam -rakhta nahi hai -- fikr -ka rehwaar -pani -mein
'' jahan -har -misraa - aataa -hai -'' libaase - ''tashnagi - pehney''
' vahan -mumkin -nahi - sairabiye - ashaar - pani mein
udhar '' saqqua-e Ahlebait'' - mashkize- ko bharta tha
'idhar -peeti -thi - ''moujein'' - sharbate - ''deedar -pani -mein
muqabil -sher - ke -aate -jo -pehredaar -pani mey
''to -hote -ek -ke -do ''aur -do -ke char '' - pani mey
(22)
Jis Jis Ke Dil Ki Cha,th Pe Hai Abbas <A.s> Ka Alam
Uss Ko Bhala Kahan Khad,sha Hai Aanch Ka
Hai Zikar-E-Panjtan <A.s> Issi Panjay Ke Saye Mai
Inn Panch Ungalioun Pe Bharosa Hai Panch <5> Ka
(23)
Naam Darpan Hai Mera Lekin Dharam Abbas(A.S) ka..
Her Ghari Rehta Hai Mujh Per Yun Karam Abbas(A.S) ka..
Moorti ki ab Jagah MaiN'ne, Saja kar Rakh Diya..
Choomta Hoon Subha Uthte He Alam Abbas(A.S) ka..
By : Darpan [Hindu Poet]
(24)
حیـــدر۴ نے اُس کو پیـــکر احســـاس کر دیا
فـــاطـــمـــہ۴ کے پیـــار نے الــمـــاس کر دیا
پھر اُس کے بعد صبر و اطاعت کی گود میں
زینــب۴ نے پال کر اُســـے عبـــاس۴ کر دیـاِ
(25)
ANKHON SE JO GHAZI A.S KA ROZA NZR ATA HE
DILL SE JO MIEN DEKHON TO KAABA NZR ATA HE
MIEN MANTA HON YE RIZQ ALI A.S KA HE LEKIN
PANI TO MUJHE GHAZI A.S KI JAGEER NZR ATA HE
(26)
Bey Aas Hoke jab mere ehsas aa gaye..
Kuch aashna sey naam mujhe raas aa gaye..
Maangi madad jo deke Sakina(S.A) ka wasta..
Pehle Ali(A.S) sey Hazrat-e-Abbas(A.S) aa gaye...!
(27)
Koi Jo Mange "SAKINA" ka Wasta De Ker.
Tou Keasy Hoga k ABBAS" wo Ata Na Kry
(28)
Abbas Ko Mansab Bakhshay Hain Shabbar,Shabbir Ki Madar Ny
Abbas Ki Khass Wafain Thi, Abbas Ka Khass Sila Rakha
Shabbir Se Ly Kar Khaliq Tak, Sab Ny Is Se Insaaf Kia
Abbas Pe Hee Pabandi Thi, Abbas Ka Hath Khula Rakha
(29)
Sach Ye Hai k Jis Baam Pe Ye Hath Gaya Hai
Lagta Hai k Us Chat Pe Hee Abbas Khara Hai
Ba'Hum Bata Rahay Hain Alam Or Zuljanah
Abbas Or Hussain Ka Sadiyon Ka Sath Hai
Jahan Jahan Lagay Huwe Hain Ye Panjay Isi Liye
Ghazi Ka Har Yazeed Ki Gardan Pe Hath Hai
(30)
HAin Jo Alam MAi Hurf Suno Unka Ab BAyan
ABBAS KA HAi "AIN" Isi " AIN" Se Ayaan
HAi "LAAM" La'Fatah K Qaseeday Ka TArjumaan
Or "MEEM" Se Muraad Maseeha e do Jahan
Seedhi Si Hai Ye Baat Koi Phair Nahi Hai
ABBAS Mai Or ALAM Mai Kahin Zair Nahi HAi
(31)
Naam e Ali Se "AIN" Liya Or Likh Liya
Dekha Jo Abu Turaab Ko To "BAY" Is Se Mil Gaya
Aaya Nazar ASAD To Qalam Nay "ALIF" Liya
Or "SEEN" Barh Kar Saqi e Kousar Nay De Diya
Har Ek Hurf Zeenat e Qirtaas Ban Gaya
YakJa Kiya Jo Sab Ko To ABBAS Ban Gaya.
(32)
Aaj Khatra Hai KahiN MushriK HeE Na Ho JaoN Mai
Mere IdraaK Mai Kab Naqsh e Wafa Aesa Tha
SagaR e ChashaM Bharega To Uthaunga NazaR
Dekhta Ye Hun k BachpaN Mai Khuda Kesa Tha
(33)
Itni Bhar jaye In Aankho'n mein Zia e Abbas asw"
Mujh Koi Na Nazar Aaye,Siwaaye Abbas asw"
(34)
MANGOO TU TALAB KAR K SAKHI SHAHNSHA E WAFA SE,
MAYOOS KOI NAI HOTA UN KI ATTA SE,
HOTA HAI APNA ELAJ NA DUA SE NA DAWA SE,
CHALTI HAIN YE SANSIEN TERY PARCHAM KI HAWA SE,
(35)
GHAZI ABBAS ALAMDAR KE DIVANE HA,
HUM TU BAS AAP KE KIRDAR KE DEVANE HA
,BHAI HO KE BHI JO GHULAMI KA DAM BHARTE HAIN,
HUM ASAD AISE WAFADAR KE DIWANE HAIN
(36)
"Alam Abbas (a.s) Ka Jis Din Se Rakha Hai Ghar Main
Khud Hi Karbala Se Hokay Hawa Aati Hai
Na Mumkin Hai Mujhe Chulay Koi Bemari
Maray Ghar Lay Ke Hawa "Khak-e-Shifa" Aati Hai.
(37)
"Na Janay Khoobsorat kis Qadar THA WOH ALI ZADA(A.S)
Farishtay Deakhny Aatay thay US AHSAN NAMAZI (A.S) KO
jahan pe QASIM O AKBAR , SAJJAD JESE THAY
Wahan QAMR e BANI HASHIM Kaha Jata tha GHAZI (A.S) ko.
(38)
Mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
Abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
Laao tou ata karnay main Abbas ka sani
Bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai....
(39)
Jo nathiq e Qura'an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai
(40)
Paiman-e-Anwar-e-Jali Bhej Raha Hun
Main Khud Hun Wali Or Wali Bhej Raha Hun
Tum Ne Mujhe Is Dor Ka Samjha Hay Muhammad(saww)
Main Apny Zamanay Ka Ali Bhej Raha Hu
(41)
"Jo Mushkil Talta Hai Usay Ali (as) Kehtay Hain,
Jo Qismat Banaaiy Usau Batool(sa) Kehtay Hain"
Muhammad(saww) Se Le
Kar Hassan(as) Tak
Sabhi Ne Hussain(as) Ko Chaha,
Lekin Jisay Hussain Ne Chaha Usay Abbass(as) Kehtay Hain"
(42)
*Lafz likhta hon to Ehsas likha jata hai ....,
Moaj likhta hon to piyas likha jata hai...,
Mere Jazbat se waqif hai Qalam bhi mera....,
Mae wafa likhta hoon.. ABBAS likha jata hai....,
(44)
YE KOUN AAYA HY IS JAHA'N ME ALI a.s BHI KHUD MUSKURA RAHY HAIN-
IS BACHAY KO ALAM MILY GA ABHI SE TEWAR BATA RAHY HAIN-
HUSAIN a.s JAB BHI JHOOLAY ME SOEY JHULATAY JIBREEL a.s AA K JHOOLA-
YE KAUN JHOOLAY ME SO RAHY HAIN HUSAIN a.s JHOOLA JHOOLA RAHY HAIN---
(45)
Qlb e HAIDER se uthi ar arsh e azam pe gai
Surkhru ho ke jo palti wo dua ABBAS hai
Ye haqiqat h? k hai SHABBIR dil islam ka aur us dil ki dhrkan ki sda ABBAS hai
(46)
ABBAS a.s KI CHAHAT KA YE AALAM HY JAHA'N ME
HAR SAANS PE LAGTA HY K NAYZAY KI ANI HY
DARYA ME UBHARTI HUI MOJO'N KO ZARA SUNN
YE MATAM E ABBAS a.s ME ZANJEER ZANI HY..
(47)
Gazi ki shuja'at ka ye Unwaan bHi Hoga,
Mashkize me Darya Hy to tufan bHi Hoga,
ABBAS k parcham ki taraf gaur se Dekho,
Panja Hy to Bai'at ka Gireban bHi Hoga
(48)
Wo Sher Karo Nazr Tamnna e ALI a.s Ko
Taskeen Mohaiyya Ho Dile Binte Nabi Ko
Zehra s.a. Ne kaha Hazrate Abbas a.s Ko Beta
Ya Yun Kahun Poora Kiya Mohsin a.s Ki Kami Ko
(49)
Seene Me Jo Abbas a.s K Kadmo Ki Dhamak Hy
Haibat In Dhamak Ki Sir E Aarsh Talak Hy
Yeh Keh K Guzarta Hy Garajta Huwa Badal
Bijli Mere ABBAS a.s K Lehje Ki Kadak Hy
(50)
قدم قدم پہ ایک کام کرتی ہوں
علی والوں کا بہت احترام کرتی ہوں
جس گہر پہ آتا ہے عباس کا علم نظر
اس گہر کو یں جھک کر سلام کرتی ہوں
سلام یا مولا عباس علیہالسلام
(51)
Tera Chullu Tha Kay Tha Koi Tamancha ♥ ABBAS "a.s" ♥
Aaj Tak Nehar Ka Rukhsar Hai Nela ♥ ABBAS "a.s" ♥
Laakh Kerta Raha Dariya Tera Peacha ♥ ABBAS "a.s" ♥
Tuu Nay Tukhra Kay Palat Kay Bhi Na Dehkha ♥ ABBAS "a.s" ♥
Hain Tere Naam ay Duniya Mai Hazaroo Bachay
Tuu Bhi Zinda hai Tera Naam Bhi Zinda ♥ ABBAS ".a.s" ♥
Likh Kay Rakha Tha Jahan Lafz e Wafa Raat gaye
Subha Ko Uth Kay Jo Dehkha To Likha Tha ♥ ABBAS "a.s" ♥
Koi Milta Hai Wafaadaar To Aata Hai Khyal
Gir Gaya Hoga Kahe Tera Paseena ♥ ABBAS ".aS" ♥
♥ Asalaam o Aleka Ya Abul Fazal Abbas "a.s" ♥
|
|
Log In |
|
|
Search |
|
|
Site Existence |
|
|
|